Simplicity

in #undefined7 years ago

Chankya raja Chandragupt Maurya ke maha mantri the. Ek baar unanan ka rajdoot india me aaya hua tha usne Chankya ki bahut parsansa sun rakhi thi. Wo Chankya ka rehan sehan dekhna chahta tha. Wo rajdoot Chankya se milne k liye unke nivas sathan ganga tat ki or chal
Pada. Waha jaakar dekha ki Ganga tat par ek uncha lamba dhird vyaktitav ka dhani naha raha hai. Rajdoot ne us aadmi se pucha ki aap mujhe bata sakte hai ki Chankya kaha rehta hai. Usne bola ki saamne waali jhopdi me. Rajdoot ko vishwas nahi hua ki ek rajya ka maha mantri ek jhopdi me kaise reh sakta hai. Wo jhopdi k gate par pahuncha to dekha ki bheetar koi nahi hai. Ye sab dekhkar laga ki kinare par mile aadmi ne uske saath majak kiya hai.

Source-https://www.clearias.com/chanakya-neeti/